Aaj Jung Meri Uss Se Hui Hain
Jise Hum Dhoka Aur Nafrat Kehtey Hain.
Mera Ilzaam Tha Kii Usne Pyaar Cheena Mera
Gawaah Bhii Saath Mere Nikal Pade Adalat Ko Jahan
Kaale Kot Pehne Sabhi Ne.Kar Diya Elaan,Aagaye Sabhi
Jo Dhoka Khakey Simtey Parey They
Apni Pyaar Kii Jhopdi Mein.Lagi Ekk Awaz!
Pukaara Naam Mera Poocha Kya Ilzaam Hai Tera?
Mere Peeche, Aur Saath Thi Ekk Bhaari Bheer
Jiska Samartthan Yakinan Meri Jeet Likhega.
Oonchayee Mein Pyaar Ko Bethaaya Gaya
Aur Dhoka Door Baitha Bannd Katgharey Mein
Zanjeer Se Lipta Hua Qaid Khada Tha Saamne.
Meri Awaz Nikli Maanyavar! Iss Dhokey Ne
Mujhe Barbaad Kiya Pyar Ke Sar Per Baithkar
Mujhe Nikaal Baahar Kiya Kisi Ke Dil Se
Woh Nafrat Karne Laga Hai Mujhse, Meri Kaaya Se.
Bheed Ne Sunkar Mujhe Mej Thap-Thapai Tow
Seena Mera Chauda Hua.Ilzaam Lagaya Jee Bharkar
Tauhmat Dee Kosa Usse. Tabhi Bhaari Ekk Awaz Aayee
Oh! Dhokey Safai Deni Hai Koi Ya Phaansi Pe Latka Doon
Jahan Teri Maut Se Khaufnaak Mulaqaat Hogi.
Bol! Aakhri Mauka Hai,Kya Yeh Manusya Sahi Hai??
Dhoka Adhmara Ho Chuka Tt]ha
Kya Bolta, Sunta Bhi Kaun Uski.
Acchaanak !!Meri Jeet Ka Bhram Todkar
Khada Hua Khud Ke Pairon Per
Bola, Mahodaye! Yeh Manusya Jhoota Hai
Peechey Bheed Mein Khadey Yeh Mukhautey Bhi Jhoot Hain.
Magar Yeh Naadaan Hain Koi Mujrim Nahin Hain Yeh.
Inhe Aabhaas Nahin Hai Pyar Aur Dhokey Ka
Kabhi Saath Nahi Rehtey Yeh Shristi Ka Niyam Hai
Jise Yeh Naadaan Manusya Samajh Nahin Paate Hain.
Kya Dhokey Ko Kabhi Pyar Ke Aangaan Mein
Khelta Paaya Kisine? Ya Kabhi Suna Hai Aisa
Ki Pyar Ne Dhokey Ko Daawat Dee Hai.
Nahin Mahodaye Nahin Humne Koi Bhi Niyam
Nahin Toda Hai Tab Bhi Aur Aaj Bhi.
Aaj Bhi Pyar Mujhse Koson Door Baitha Hai
Uss Oonchayeen Mein Jaise Sukh Aur Dukh
Rona Aur Hasn-Naa Marna Aur Jeena
Kabhi Ek Pal Ke Liye Bhi Saath Nahin Reh Saktey
Ekk Hee Samay Mein Inka Sangam Mumkin Nahin
Aise Hee Pyar Aur Nafrat Ekk Doosre Se Juda Hain,
Insaan Kabhi Bhi Maatr Ekk Pal Ke Liye Hee Sahi
Humdono Ko Nahin Pa-Sakta Hum Kabhi Ek Baazaar Ki
Raunak Nahin Rahey. Hume Tow Ghulaam
Bana Dala Hai Manusya Ne.Pyar, Nafrat, Chori, Loot,
Bhrastachaari, Gunaah Yeh Saare Hathkanddey
Isis Manusya Ki Den Hai.Yeh Manusya Ek Dhabba Hai
Is Shristi Ka, Jo Taanashahi Mein
Kudrat Ki Barbadi Likh Raha Hai.
Mahodaye! Yeh Jis-Se Pyar Paata Hai
Ussi-Se Nafrat Ki Ummeed
Rakhkar Ilzaam Humey Inaam Bankar Deta Hai.
Pehli Nazar Mein Roop Aur Zism Dekhkar
Karta Hai Pyar Aur Baat Karta Hai
Mohabbat Ki.Mera Naam Nafrat Rakhkar
Mujhe A Chhod Bana Diya Hai Magar Pyar Anmol Kyon Hai
Mujhe Behtar Koi Bhi Jaan Nahin Saka Hai Aat Tak.
Zindagi Bhar Saath Rehkar Pyar Nahin Nibhtaa Hai,
Na Hee Khoon Se Likhkar Pyar Ka Rang Gaadaa Hua Hai,
Chaar Kadmon Kaa Saath Hamesha Chunati Nahin Deta,
Naa Kisi Shehnshah Ne Talvaar Se Pyar Haasil Kiya Hai
Pyaar Sirf Shaadi Hee Nahin Hai Pyaar Vichaaron Ka Sangam
Pyaar Meera Ki Kahani Tthi Pyaar Gandhi Ki Moorat Tthi
Pyaar Ek Saccha Sa Gehna Jo Seekhey Preet Mein Behna
Pyaar Tow Deepak Hai,Pyaar Ik Aas Hai Pyar Jeevan Ka Saathi
Pyaar Mamta Kii Chaukhat Pyaar Aakaash Hai
Pyaar Paataal Mein Bhii Pyaar Tow Pyar Hee Hai
Pyaar Hee Pyar Bhi Hai Pyaar Ekk Hawa Kaa Naam Hai,
Jisne Jeevan Diya Hai Tumhari Komal Mohini Ko
Pyaar Paani Ki Boond Hai Jismein Lehrein Jeeti Hainlnbrk2restor