Aaj Jab Bhi Yaad Aati Hai Beete Palon Ki
Yaad Aati Jab Saath Gujre Oon Pyaari Baaton Ki
Jab Kabhi Yeh Dil Oodaas Hota Tha Koi Sar Par Haath Rakhta Tha
Meri Mushkilon Mein Himmat Thay Mere Dadaji
Hosh Sambhala To Khud Ko Paaya Do Majboot Kandho Ki Sawari Karte Huye
Har Pal Mere Saath Khelna Mere Saath Ban Jaana Mujh Jaisa Hi
Hosla Badanameri Har Shaitaani Par Aur Phir Roothne Ka Bahana Karna
Jab Koi Daante Mujhe Toh Ban Jaaye Dhaal Aise Thay Mere Dadaji
Jab Chala Aaya Door Oonse Kuch Banne Ka Khwab Lekar
Hamesha Mere Dil Aur Demmag Mein Thay Mere Dadaji
Jab Poora Hua Mera Khwaab Toh Mud Kar Dekha Maine
Meri Khushiyon Mein Badhai Dene Nahin Thay Dadaji
Kuch Paaya Maine Kuch Khokar Par Oos Kami Ko Poora Kaun Karega
Kaun Aakar Baahon Mein Lega Kiski Duayein Meri Hifazat Ab Karengi
Roya Nahin Main Oonhe Yaad Kar Ke Kyunki Ek Baat Oonhone Kahi Thi
Jab Muskil Ho Toh Dil Se Yaad Karna Tere Saath Honge Tere Dadaji
Koi Kehta Hai Jab Ki Saahil Tujhme Aks Oonka Dikhta Hai
Tab Muskuraata Hoon Main Ki Aap Mere Saath Hai Dadaji