Aaj Ek Aur Dafa Tum Humse Roo-Ba-Roo Ho Lo,
Log Kahte Hain Mujhme Nazakat Ka Hunar Baaki Hai
Na Jaane Kab Unke Karam Honge Idhar,
Abhi Be-Khauf Talabdaaron Ki Nazar Baki Hai.
Wo Har Roz Un Shokh Nigahon Ka Nasha,
Sab Par Karam Aur Apna Dil-O-Jigar Baaki Hai.
Aaj Khairiyat Ko Aate Hain Wo Yaaron,
Lagta Hai Abhi Duaon Mein Asar Baaki Hai.
Kuchh Yu Rahi Waqt Ke Sang Baharon Ki Saajish,
Har Chaman Tak Panhuchee Par Mere Dil Ka Shahar Baaki Hai.
Har Ek Dil Ko Shaq Ne Jala Rakha Hai,
Pyaar Mein Kyun Nafrat Ka Zahar Baaki Hai.
Manzoor Tha Ab Hawaon Mein Khak Ho Jaana,
Chingaarion Mein Magar Kahan Ab Asar Baaki Hai.
Wo Sochte Hain Ki Jis Me Raat Guazari Thi Kabhi,
Sara Jahaan Ujda Par Wo Ghar Baaki Hai.
Har Ek Shaks Mazil Pe Ja Rukta Hai,
Bohat Lamba‚  Mera -Ë—tanha-‘ Safar Baki Hai.
Sath Yaadon Ke Shab Aate Hi Chala Dil,
Abhi To Bahot Waqt Hone Ko Sahar Baaki Hai.