Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Chan Chan Us Ke Payal Ki,
Jo Ik Nagma Sa Fiza Main Gaati Thi Wo Khan Khan Us Ke Kangan Ki,
Ik Piyari Ghazal Sunatin Thin Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Lahraati Zulfon Ki Zanjeer,
Jo Dil Ko Mere Bha Gai Thi Aankhain Us Ki Gahri Gahri,
Sochon Per Jo Cha Gai Thin Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Moti,
Jo Us Ki Aankhon Se Kabhi Gira Tha Wo Masoom Rishta,
Dosti Ka Main Ne Jis Ko Naam Dia Tha Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Us Ki Muskurahat,
Jo Phoolon Ki Barish Hoti Thi Roye Gar Toot Ker Wo To,
Aasmaan Se Barish Hoti Thi Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Waada,
Jo Do Dilon Ne Kia Tha Wo Irada,
Jo Sang Rahne Ka Kia Tha Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Jub Main Us Se Jhoot Moot Rootha Tha,
Phulon Ka Koi Guldasta Door Kaheen Toota Tha Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Mulaqatein,
Jo Chandni Raton Main Ki Thin Wo Baatein,
Jo Ghanay Neem Ke Saye Main Ki Thin Haan,
Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai Wo Us Ki Aakhri Ghazal,
Jo Us Ne Mujhay Sunai Thi Lekin Jo Sab Kuch Mujh Se Cheen Gai,
Wo Meri Apni Bewafai Thi Haan Aaj Bhi Mujhay Yaad Hai