Aaina Unko Bhari Mehfil Main Dikhlaya Gaya
Dosti Aour Dushmani Ka Farq Samjhaya Gaya
Bantte Phirte The Logon Main Dawa-E Dard-E-Dil
Unko Hi La Ker Yahan Sooli Pe Latkaya Gaya
Bat Ke Khanjer Se Usne Kat Di Sanson Ki Dor
Phir Gale Main Talkhiyon Ka Zaher Tapkaya Gaya
Bhar Ke Paymana Diya Ghairon Ke Hathon Main Magar
Aik Qatre Ko Hamain Mehfil Main Tarsaya Gaya
Gher Gareebon Ke Jalaye Phir Tasali Ke Liye
Bujhte Shohlon Per Musalsal Tail Chirhkaya Gaya
Zindagi Aour Maout Ki Aksar Yahan Anban Rahi
Dastan-E-Ishq Ko Jab Bhi He Dohraya Gaya
Phir Kisi Ki Izat-O-Namoos Ka Soda Howa
Phir Kisi Dosheeza Ka Kajal Bhi Kajraya Gaya
Aik Main Keh Mujh Se Cheeni Taqat-E-Guftar Bhi
Azadi-E-Taqreer Ka Taj Unko Pehnaya Gaya
Zindagi Main Aaye Hain Sahil Kuch Aise Muqam
Sangdil Ke Samne Hi Hath Phailaya Gaya