Phele Main Rehta Tha Hairan-O- Paraishaan
Ab Mere Paas Hai Rooti Kapda Aur Makan
Ab To Nahi Lagta Mera Kahi Bhi Mann
Aai Kash Aaje Meri Bhi Danger Biwi No1
Qayamat Se Qayamat Tak Us Ka Saath Nibhana Hai
Pyaar Hi Pyaar Main Kahi Door Chale Jana Hai
Phir Haadsa
Jab Se Tumhein Pardes Main Dekha Saathiya
Us Hi Din Se Hum Dil De Chuke Sanam
Aur Aaj Tak Yahi Kehte Hain
Hum Tumhare Hai Sanam
Tumhein Dekha Ke Dil Main Kuch Kuch Hota Hai
Kia Bataye Humari Zindagi Main Kabhi Kushi Kabhi Gham
Ab Shaamat
Jab Se Nikah Huwa Hai Sab Kehte Hain Juru Ka Ghulaam
Kash Aag Or Shole Ke Ilawa Mere Naseeb Main Ho Aaram
Logo Ki Nazar Main Doolha Se Choolah Ban Raha Hai
Un Ko Kia Pata Meri Biwi Ki Jaga Mera Doopata Jal Raha Hai
Ab Too Office Main Bhi Kehta Rehta Hoon Yes Sir, Yes Boos
Mujhe Koi Mil Gaya Hai Jis Ke Hain Khubsoorat Jaws
Ab To Begum Sapne Main Bhi Dood Lagwati Hai
Aur Chaina Gate Ko Croos Karwati Hai
Ab Kuch Na Kaho Wala Hisaab Ho Gaya Hai
Mera Ghar Jahanam Ka Aazab Ho Gaya Hai
Ab To Main Raju Ban Gaya Juntleman Ban Gaya Hoon
Aur Raju Chacha Raja Hindustani Kehta Thak Gaya Hoon
Ab To Din Aur Ratein Katti Hai Soni
Kab Ayein Ge Amar Akbar Anthoni
Likhne Walon Ka Hai Andaz Apna Apna
Mera To Yahi Andaaz Jo Sab Ko Lage Sapna
Aaj Yeh Padhlo Warna
Ho Sakta Hai Kal Ho Na Ho Apna
Agar Yeh Achi Lage Mail Zaroor Karna
Aur Aur Mujh Pe Apna Aitabaar Humesha Rakhna
Apni Duaon Main Meri Yaadein Zaroor Rakhna
Aur Apne Dil Main Mujhe Bhita Ke Rakhna …………….