Kambakhat Ne Aik Hi Jhatke Men Mera Piyaar Bhara Dil Tor Diya
Dawat Ke Bahane Bulwa Kar Mere Peeche Kutta Chhor Diya
Kutta Hai Hamari Laila Ka Yeh Soch Ke Piyaar Jatate The
Dete The Use Pehle Haddi Hum Baad Men Khana Khate The
Kutte Ne Namak Mera Khakar Paimaan Wafa Ka Tor Diya

Medal Mujh Ko Bhi Mil Jata Gar Dorta Men Olampic Men
Kalyaan Se Dor Shuru Ki Thi Ab Aa Ke Ruka Hoon Nasik Men
Is Beech Mila Jab Jab Moqa Kutte Ne Mujhe Jhanjhor Diya
Chappal Pairon Ki Chhot Gai Ab Mere Badan Pe Qameez Nahin
Bus Bhaag Raha Hoon Men Lekin Daayen Baayen Ki Tameez Nahin
Us Samt Hi Men Mur Jata Hoon Jis Samt Bhi Us Ne Mor Diya
Full Pent Jo Men Ne Pehni Thi Ab Half Se Bhi Kam Baqi He
Ab Mujh Se Nahin Dora Jata Kutte Men Magar Dam Baqi He
Kal Aage Haal Sunaoonga Gar Is Ne Zinda Chhor Diya
Sad Shukr Husaini Bach Nikle Hum Jaal Men Laila Ke Phans Kar
Ehwaal Hamari Daawat Ka Sub Poochh Rahe Hen Hans Hans Kar
Hum Ne Munh Band Rakha Lekin Zakhmon Ne Bhaanda Phor Diya
Kambakht Ne Aik Hi Jhatke Men Mera Piyaar Bhara Dil Tor Diya
Dawat Ke Bahane Bulwa Kar Mere Peechhe Kutta Chhor Diya
Haye Chhor Diya