Jab Se Tu Meri Gharwali Bani Hai,
Meri Apne Parivar Se Tani Hai.
Mana Ki Nahi Hai Tera Koi Sani,
Par Iska Matlab Ye To Nahi Ki Yu Kare Manmaani.
Wo Jo Tera Bap Hai,
Rishte Me To Mera Sasur Hai.
Par Na Jane Kyon Is Bat Ka Use Guroor Hai,
Par Yahi Uska Kasoor Hai.
Aur Mera Wo Jo Sala Hai,
Karta Rehta Apna Muh Kala Hai.
Kam-Dham To Kuch Karta Nahi,
Phir Bhi Samajhta Khud Ko Lala Hai.
Aur Meri Jo Saa Hai,
Usne Bana Rakha Mujhe Ek Las Hai.
Tumhe Bakwas Sikha-Sikha Kar,
Todi Meri Har Aas Hai.
Tujhse Ahchi To Hai Sali,
Kash Wo Hoti Mei Gharwali.
To Zindagi Sukoon Se Kat Ti,
Aur Roz Sun Ni Nahi Parti Gali