Ghazalkaaron Kaa Humne Ek Survey Kiyaa
Jisne Humen Yeh Raaz Convey Kiyaa
Nabbe Pratishat Ghazalkaar Software Vaale Hain Socha Humne …
Ye Softwarevaale Kyon Ghazalon Ke Matwaale Hain?

Ye Software Mei.N Aajkal Narmi Hai
Shayad Isiliye Ebazm Mei.N Inki Garmi Hai
Survey Ke Parinaam Se Hum Hairat Mein Pad Gaye
Iss Guthhi Ko Suljhaane Ki Zidd Pe Ad.D Gaye
Iss Maamle Ki Zad.D Tak Har Haal Mein Hum Zayenge
Ghazalon Aur Software Ke Thread Ko Pakad Layenge
Humne Apni Tehkikaat Aagaz Kar Di
Apni Har Sahooliyat Nazar Andaaz Kar Di
Har Hamraaz Se Madad Ki Aawaz Kar Di
Har Qufl Saaz Se Chaabi Ki Darkhawaast Kar Di
Humaari Mehnat Ka Ye Anzaam Aaya
Iss Raaz Khulne Kaa Paigaam Laaya
Humaare Jaasooson Ne Humen Aagah Kiyaa
Gates Ne Ek Khufiyaa Software Hai Ijjad Kiyya
‘Ghalib’ Ke Naam Se Yeh Jaana Jaata Hai
Chunindaa Logaun Se Pehchaana Jaata Hai
Kuchh Chaar Lafz Aap Issmei.N Bhar Deejiye
Ghazalon Ke Kai Namune Yak Sar Leejiye
‘Ghalib’ Load Karne Ki Humne Shayari.Com Pe Arzi Kar Di
Humaare Andar Ke Gazalkar Ne Chaen Ki Saans Bhar Di
Hum Dekh Rahen Hai Raah Uss Din Kee
Zab Ye Software Load Ho Jayegaa
Hum Bhi Shab, Shabnam, Judaai, Tanhaai Se Ghazal Bana Denge
Aur In Softwarevaale Ghazalkaaron Ko Mazaa Chakhaa Denge