Be Nighan Aankhon Se Dekhte Hain Parche Ko
Be Khayal Haathon Se
Un Bane Se Lafzon Par Ungliyaan Ghumate Hain
Yeh Sawal-Name Ko Dekhte Hi Jate Hai
Har Taraf Kan Aakhiyon Se Bach Bacha Ke Takte Hai
Doosron Ke Parchon Ko Rahnuma Samajhte Hain
Shayad Ais Tarah Koi Rasta Mil Jaye
Be Nishaan Khuwabon Ka Kuch Pata Hi Mil Jaye
Mujh Ko Dekhte Hai To
Yun Jawab Copy Par Hansi Lagate Hain
Dairay Banate Hai
Jaise Ain Ko Parche Ke Sab Jawab Ate Hain
Ais Tarah Ke Manzar Main
Imtehan-Gahon Main Dekhta Hi Rehta Tha
Naqal Karne Walon Ke
Nit Naye Tareequn Se
Aap Lutf Leta Tha Doston Se Kehta Tha