Dosti Aur Pyaar Main Kuch Farq Nahi
Kyun Ke Pyaar Kia Nahi Jata Balke Ho Jata Hai
Sachi Aur Kamyaab Dosti Bhi Wahi Hai
Jo Aik Shakhs Ke Doosre Shakhs Se
Khayalat Milne Par Aachank Ho Jaye
Aur Ainhein Pata Bhi Na Chale
Dosti Wahi Hai Jis Main Pyaar Ho
Aur Pyaar Main Dosti Ka Hona Lazmi Hai
Yane Dono Aik Doosre Ke Muhtaaj Hai
To Aaye Mere Dost Tum Humare Rishte Ko
Dosti Samjho Ya Pyaar Baat Aik Hi Hai
Jis Tarah Chaat Par Jane Ke Liye Seediyon
Ki Zarurat Hoti Hai Theek Aisi Tarah Pyaar Ko
Paane Ke Liye Dosti Ki Zarurat Hoti Hai
Kyun Ke Pyaar Aandha Hota Hai
Aur Aik Doosre Ke Dil Ki Baat Samjhne Ke Liye
Kabhi Kabhi Dimaagh Se Bhi Sochna Padhta Hai
Ais Liye Pyaar Main Acha Dost Ban Kar
Rehna Zaruri Hai Apne Dost Ki Chooti Chooti
Baat Ka Bura Maan Kar Dosti Ka Mazaq Nahi Udha Na Chahiye
Kyun Ke Baz-Oqat Dost Ki Koi Majbori Bhi Ho Sakti Hai
Dosti Ko Nebhane Ke Liye 2 Baaton Ka Hona Zaruri Hai
Awal Yeh Ke Apne Dost Par Aitamaad Ho Aur
Doosra Yeh Ke Apne Dil Main Qabristaan Banana Padhta Hai
Jis Main Apne Dost Ki Chooti Chooti Ghaltiyon Ko Ko Dafan Kia Ja Sake
nsaan Jhuti Aana Ka Masla Banaye Baghair Kaisi Ki Ghaltiyon Ko
Aisi Waqt Nazar Aandaz Kar Sakta Hai Jab Ais Se Pyaar Ho
Ais Liye Mere Dost Tum Dosti Aur Pyaar Main Se Bas
Sirf Aik Cheez Hi Nibha Lo To Doosri Khub Ba Khud Nibh Jaye Gi