Muskurate The Jo Hum To Sama Roshan Ho Jata Tha
Lagte The Jo Doston Se Gale To Rom Rom Khil Jata Tha
Waqt Bhi Na Jaane Kuch Palon Mei Simat Jata Tha
Bewajah Hasne Ka Silsila Aksar Suru Ho Jata Tha…
Khwaab Ko Palkon Pe Sajakar
Doston Ke Saath Kadam Se Kadam Milakar
Bewajah Hi Hum Nikal Padte The
Besaq Aate The Kuch Kam Paise Ghar Se
Par Wo Bhi Bahut Lagte The…
Dil Bhi Aksar Kisi Ko Dekhkar Aahen Bharta Tha
Uska Chehra Har Waqt Khwabon Mei Sajta Tha
Muskurati Thi Wo To Sara Gulshan Mehakta Tha
Par Na Jaane Kyun Dil Kuch Kehne Se Darta Tha…
Aati Jo Thi Exams Ki Date Kareeb To Khamoshi Cha Jaati Thi
Har Kahin Paper Leak Hone Ki Afwahen Sunai Pad Jaati Thi
Paper Hamesha Acche Hi Na Jaan Kaise Ho Jaate The
Bas Uske Baad To Masti Se Baaki Din Bitaate The…
Aksar Abhi Bhi Khayalon Mei Wo Din Yaad Aate Hain
Bewajah Hi Lub Khud B Khud Muskura Jaate Hain
Hum Bhi Kuch Pal Ke Liye Hi Sahi Tension Bhool Jaate Hain
Apne Aap Ko Kisi Jaanat Ki Duniya Mei Paate Hain…
– Akash Chauhan