Ghazal Ko Maa Ki Tarah Baavkaar Karta Hoon
Main Mamta Ke Katoron Mein Dhoodh Bharta Hoon
Ye Dekh, Hizr Tera Kitna Khoobsoorat Hai
Ajeeb Mard Hoon, Solah-Singar Karta Hoon
Badan Samet Ke Le Jaaye Jaise Shaam Ki Dhoop
Tumhare Shehar Se Main Is Tarah Guzrata Hoon
Tamaam Din Ka Safar Karke Roz Shaam Ke Baad
Pahadiyon Se Ghiri Kabr Mein Utrata Hoon
Mujhe Sukoon Ghane Junglon Mein Milta Hai
Main Raaston Se Nahi Manzilon Se Darta Hoon
– Bashir Badr