Hi all,
Just wanted to share this thought with you all….
Kehte hai, kuch log jindagi main aate hai istarah
Kab, kaise jigar jaan dost ban jaate hai kya pata
Par meri viraan jindagi main yeh hota nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.
Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-jindagi main
Saath chalenge woh mere aisa vaada tha unka
Koi kisi ke liye yaha rukta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.
Har baar mujhe ek chot lagi hai kuch aise
Ke tukde hue hai kai aitbaar ke mere
Bikhare un tukdo ko main samete ta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.
Mere dil ke tukde to har koi le gaya mujhse
Badle main bas ek suna pan degaya har koi
Ke mera dil bhi ab mere paas nahi
Ke main ab dost koi banata nahi
Comments and brickbats awaited…..
Subodh Gupta
I have learned, Joy is not in things, it is in us.
You will ultimately be known by what you give and not by what you get.