Doston Ki Dosti Yaaron Ka Pyar
Laata Hai Zindagi Mei Khusiyan Hazaar
Wo Saath Haun To Kya Hai Baat
Masti Aur Dhoom Ki Ho Suruaat
Aksar Hum Waqt Tanha Bitate Hain
Career Ke Liye Unhe Bhool Jaate Hain
Wahi Pal To Dosti Ka Ehsaas Dilaate Hain
Aanken Nam Aur Hoton Pe Hansi Saath Laate Hain
Waqt Dekhte Hi Dekhte Gujar Jata Hai
Kabhi Kabhi Hamein Unse Milata Hai
Milte Hai Wo To Hum Jee Bharkar Muskurate Hain
Lagate Hain Gale To Sab Kuch Bhool Jaate Hain
Yeh Zindagi Bhi Kabhi Bewafa Si Lagti Hai
Khushi Milti Hai Phir Bicharti Hai
Doston Ki Dosti Kuch Aisa Asar Karti Hai
Usme Hi To Yeh Zindagi Sanwarti Hai
Doston Ki Dosti Yaaron Ka Pyaar
Lata Hai Zindagi Mei Khusiyan Hazaar
Wo Saath Haun To Kya Hai Baat
Masti Aur Dhoom Ki Ho Suruaat…
– Akash Chauhan