Zindagi Ke Sawalon Se Ghir Gaye Hai Hum,
Har Sawal Ke Jawaab Ki Khoj Mein Hai Hum,
Par Samajh Nahi Pa Rahe Hai Hum,
Ki Sawal Zindagi Se Hai Ya Khud Hi Ek Sawal Hai Hum,
Ab To Intezar Hai Kisi Apne Ka,
Jo Mile Aur Suljhaye In Paheliyon Ko,
Varna Kaise Jeeyenge Is Tarah Hum,
Na Chahte Hue, Bhi Ek Chuban Hai,
Bina Dishaon Ki Ek Rah Par Hai,
Dard Ki Is Kasauti Par Hai,
Na Koi Apna Hai,
Na Koi Chahne Waala Hai,
Jo Bhi Hai,
Woh Begana Hai,
Kya Kahe Hum In Apne Bane Beganon Se,
Jab Samajh Hi Nahi Pa Rahe Hai Ki,
Begane Hum Bane Ya Who Bane
Kya Karein Jab Koi Apna,
Pass Hokar Bhi Door Ho,
Kisi Ki Kismat Bhi Apno,
Ke Sath Khel Kelti Ho,
Dard Aur Uski Dawa Ka Ehsas Ho,
Par Malham Lagane Waale Ka Bhi Intezar Ho,
Kya Rishton Ke Mayne Badal Jate Hai,
Kisi Ek Ke Badal Jane Se,
Itna Aasan Kyun Hai,
Kisi Ko Kisi Ki Bhawnain Bhulana,
Kyun Chahte Hai Log Apnon Ko,
Apni Tarah Banana,
Kya Duniya Mein Har Insan Ko,
Ek Hi Tarah Ban Jana Chahiye,
Kya Duniya Itni Badal Gayi Hai,
Ki Hum Apnon Ke Samne Sawal Bhi Na Rakh Paye,
Kyun Bhagwan Banata Hai Aise Logon Ko,
Jo Uski Banaye Is Yug Ki Duniya Mein Na Ji Payein,
Banata Hai, To Dil Kyun Deta Hai,
Taki Who Khud To Dukhe,
Aur Dusron Ka Bhi Dukhaye???
Zindagi Ke Sawalon Se Ghir Gaye Hai Hum,
Har Sawal Ke Jawaab Ki Khoj Mein Hai Hum,