Zikar Main Aaya Ki Baat Karne Ka Mujh Main Hunar Nahin
Parvar* Aap Ki Bhi Bayaan E Azmat Ka Mujh Main Hunar Nahin
Jigar Se Yuun Nikaalaa Maano Paa Posh* Se Koyi Kangkar*
Dilbar Ko Tukraane Main Chutaa Aapse Koyi Kasar Nahin

Ambar Ke Paak Chaadar Taley Dukhi Hai Zameen Ka Bistar
Ujar Gaye Iss Par Kitne Hi Ulhadpan* Kissi Ko Khabar Nahin
Thokar Khaate Hi Aksar Log Mud Ke Dekhte Hein Kyonkar
Patthar Hi To Raaste Main Hein Pade, Kahin Gauhar* Nahin
Dar Badar Bhatakne Ko Chodaa Zaalim Jhakkar E Sarsar*
Shajar Ukhar Gaya Ab Idhar Panchi Tera Koyi Basar Nahin
Behtar Gar Safar Shuruu Ho Sahar Ko, Saaf Dikhegi Dagar
Aksar Zulmat* Nigal Leta Tanha Raahi Ko Jab Raahbar* Nahin
Nazar Aayi Har Ek Cheez Main Faanaaiyat Siwaa E Ishwar
Amar Hai Pyar Jiss Ne Kahaa ƒ‘’š??amanushƒÂ-?? Wo Shayar Nahin
Parvar : Nourisher ( God )
Azmat : Greatness
Paaposh : Shoe
Kangkar : Pebble
Ulhadpan : Innocence
Gauhar : Pearl ( Gem )
Jhakkar E Sarsar : Gush Of Strong Wind
Zulmat : Darkness
Raahbar : Guide