Yoh Lagta Hay K
Tujhe Dekhay Hoye Zamanaa Beet Gaya
Halankay Meri Zindagi
Abhi Tu Dour Hoye Ek Ghanta Bhi Pora Nahi Hoya
Roonay Se Meri Aankhein Sirf Sojh Gayi Hain
Abhi In Ki Roshni Baqi Hai
Main Na Chah K Bhi Zinda Hoon
Tujh Se Dour Ho K Bhi Saans Aaa Rahi Hai
Tujh Se Khoo K Bhi Duniya Nazar Aaa Rahi Hai
Per Yeh Tu Tay Hai K Abb Uamr Bhar Nahi Milna
Tu Yeh Umar Bhi Kion Jo Tujh Se Gar Nahi Milna
Tay Tu Yeh Bhi Hai K Aaj K Baad Kabhi Main
Qalam Na Utha Sakonga
Main Kuch Nahi Likh Sakonga
K Meri Rooh Tu Thi
Meri Shayri Tu Thi
Tere Hi Liye Tu Pehla Lafz Likha Tha Main Ney
Aaj Tere Hi Liye Akhiri Lafz Likh Raha Hoon
K Abb Na Unglioun Main Jaan Baqi Hai
Na Hi Qalam Se Alfaaz Nikal Rahey Hain