Yaaron Jab Aaghaaz-E-Ulfat Ho Jaaye,
Taaqatwar Bhi Be-Taaqat Ho Jaaye,
Aaghaaz-E-Ulfat=start Of Love
Husn Jab Ho Bandagi Ke Khaabil,
Parast Se Bhi Baghaawat Ho Jaaye,

Parast=worshipper
Zamaana Kisey Hain Yaad Rahe,
Koi Chehra Jab Moorat Ho Jaaye,
Nazar Joh Miley Uski Kisi Se,
Har Nazar Uske Mutaabiqat Ho Jaaye,
Mutaabiqat= Agreement, Accordance
Raqeebo.N Ka Kahaan Rahe Hisaab,
Unke Shahar Kisi Se Chaahat Ho Jaaye,
Unka Na Dikhna Gham-E-Azeem,
Joh Dikh Jaaye Toh Raahat Ho Jaaye,
Gham-E-Azeem=biggest Sorrow
Na Miley Toh Gham-E-Furqat Ho Jaaye,
Mil Jaaye Toh Hamaaqat Ho Jaaye,
Gham-E-Furqat=sorrow Of Parting
Hamaaqat=madness, Paagalpan
Kaafaron Ke Shahar Jab Yeh Guzrey,
Be_emano Koh Khuda Ki Aahat Ho Jaaye
Fasaanaa-E-Shab-E-Gam Ho Jisey,
-ŗsaqib- Har Ek Pal Aafat Ho Jaaye.
Fasaana-E-Shab-E-Gham=story Of Night Of Grief