Yaad Rakhne Ko Koi Paas Nishani Bhi Nahi
Sitam Bhi Nahi Koi Mehar Bani Bhi Nahi
Kal Raat Ajab Saneha Guzra Hai Mujh Par
Ro Raha Hoon Aur Aankh Main Pani Bhi Nahi
Khat Likhne Ki Na Ho Gi Fursat Un Ko
Kia Koi Pegham Munh Zubani Bhi Nahi
Yeh Jante Hoye Ais Raste Pe Chal Pada Hoon Main
Ke Ais Raste Main To Manzil Kabhi Aani Bhi Nahi
Apni Baaton Ki Hukmarani Thi Aik Us Dil Pe
Ab To Apni Woh Shagufta Bayani Bhi Nahi
Dam -E- Asgher Akhir Kia Ghazal Likh Pao Ge
Pehli Si Woh Ungliyon Ki Rawani Bhi Nahi