Yaad Karogey Na Mujhey?
Tum Yaad Aaogey Yeh Jahaan Yaad Aayegaa
Yeh Adna Shaks Tumko Kahaan Yaad Aayegaa
Kuch Aise Vidaai Hogi Yaaron Sochaa Nahi
Yeh Dil Ka Aatish-E-Pinhaan Yaad Aayegaa

Aatish-E-Pinhaan=hidden Fire
Zakhm Toh Miley Hain Dil Par Bahaaron Seh
Yeh Mit Bhi Jaaye Toh Nishaan Yaad Aayegaa
Kayi Tehreeren Toh Uske Karm Seh Huyi Roushan
Magar Yeh Auraaq-E-Parishaan Yaad Aayegaa
Auraaq-E-Parishaan=strewn Pages
Koi Bhi Zamaaney Mein Nahi Mileygaa Aisa,
Tum Yaad Aaogey Yeh Badakhshaan Yaad Aayegaa
Badakhshaan= Ruby Famous Place In Afghan
Mushaairey Kayi Huye Maaloomaat Kayi Huye
Sabh Bhool Jaaun Yeh Imtihaan Yaad Aayegaa
Khaanaa-Weeraanee Hotey Hum Dekh Na Sakey
Khushgawaaree Ki Yeh Nihaan Yaad Aayegaa

Nihaan= Buried
Duniya Mein Kuch Bhi Bhool Jaaun Bhool Samajh
Lekin Yeh Aajka Soz-E-Nihaan Yaad Aayegaa
Soz-E-Nihaan=hidden Or Buried Sorrow
Chaley Aana Yaaron Kabhi Bhi Mere Dar Par
“Saqib” Jab Tumhe Mera Makaan Yaad Aayegaa
Be_dili Seh Dard Seh Ristaah Toot Jaaye Bhi Mera
Yahaan Ka Shadaan Wa Farhaan Yaad Aayegaa.
Shadaan Wa Farhaan=joyous
Saqib Ahsan “Saqib”