Woh Dost Mera Jaisa Bhi Sahi
Ais Dar Ka Bhikari Woh Bhi Hai
Main Us Ki Izzat Karta Hun
Aik Prem Pujari Woh Bhi Hai
Kehlaya Hai Us Si Hasina Ne
Main Us Ka Ghazal Main Naam Na Lun
Rehna Hai Us Se Bhi Duniya Main
Majboor Bechari Woh Bhi Hai
Aik Ranjish Hai Par Jante Hain
Aik Doosre Ka Dukh Hum Dono
Jis Tarah Main Hara Hun Us Se
Aik Shakhas Se Hari Woh Bhi Hai
Jee Chahe Uda Le Jaon Us Se
Darbar Se Main Pirthawi Bankar
Sanjogta Jaisi Albeli
Aik Rajkumari Woh Bhi Hai
Kia Poochun Mazhab Walon Se
Main Admiyat Ke Bare Main
Jo Deen Ke Naam Pe Dhuka De
Aik Duniyadari Woh Bhi Hai
Tum Apni Shayri Ke Bal Par
Mashoor Zaroor Hoye
Par Jis Se Tum Ne Pyaar Kia
Pehchan Tumhari Woh Bhi Hai