Wo Khaloos Tha Ke Khumar Tha
Wo Janoon Tha Ke Saraab Tha
Mujhe Sochne Mein Zamana Laga
Mujhe Manzilone Bhoola Diya
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha
Mujhe Usne Sooli Chada Diya
Kayi Humsafar Kayi Rehguzar
Mujhe Raste Mein Mile Magar
Meri Tishnagi Kuch Aur Hai
Meri Justujoo Koi Aur Hai
Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe
Magar Aansuon Mein Sama Sake
Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane
Mere Dilka Aangan Nikhaar De
Jo Mohabbatein Ki Rawayatein
Lahoo Ki Bhali Si Sanwar De
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai
Magar Is Jahan-E-Kharab Mein
Yahan Khwahishon Ke Saraab Mein
Mujhe Kaun De Aisi Wafa
Main Kahan Se Laun Wo Wafa
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua
Yehi Sochta Main Chala Gaya