Umr Ka Ye Kaun Sa Padaav Hai
Jo Baal Mere Ab Safed Ho Chale,
Bachpana Tha Ik Khiloney Ki Tarah
Aur Kabhi Hue They Hum Bhi Manchale.
Sau Kahaaniyon Ki Ik Kahani Thi
Woh Nishaani Hee Meri Kahaani Thi,
Aataa, Genhu, Daal Se They Bekhabar
Sar Pe Chadhkey Bolti Jawaani Thi.
Girtey Parte Hee Sada Tow Utthtey They
Raat Ko Hee Din Sada Samajhtey They,
Karwatton Ka Saath Bhi Tha Is Tarah
Jaise Adhjagey Se Koi Swapn Tthey.
Qaid Thi Amiree Aasmaano Mein
Aur Garibee Sab Ko Loot-Ti Rahi,
Kaise Likhta Desh Ka Adhoorapan
Har Kadam Kalam Jo Toot-Ti Rahi.
Likh Diya Dewaar Pe Ki Vote Do
Baant Diye Parchey Jhooti Baat Ke,
Vishvaas Mei Wo Is Zami Ko Tolkar
Laakhon Tukre Kar Gaye Jazbaat Ke.
Ab Nahin Padaav Koi Aayega
Ab Na Kaala Baal Muskuraayega,
Ab Dewaar Ko Naya Hee Rehne Do
Ab Nahin Jazbaat Chatpataayega.