Tootte Hue Tare To Dekh Kar Maine Kaha
Eh Dil Mang Le Tu Bi Fariyad Koi
Par Dil Se Aawaz Aayi Ki Jo Khud Toot Raha Hai
Kaise Poori Karega Wo Fariyad Koi
Tu Dekh Ya Na Dekh, Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
Zindagi Mohtaj Nahi Manzilo Ki
Waqt Har Manzil Dikha Deta Hai
Marta Nahi Koi Kisi Se Juda Hoke
Waqt Sabko Jina Sikha Deta Hai
Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi
Har Waqt Muskurane Ki Aadat Nahi Rahi
Yeh Soch Ke Ki Koi Manane Nahi Aayega
Ab Hamein Ruth Jane Ki Aadat Nahi Rahi
Bheeg Jati Hai Palke Tanhai Me
Darte Hai Koi Jaan Na Le
Pasand Karte Hai Tez Barsaat Me Chalna
Kahin Rote Hue Koi Pehchan Na Le
Tu Kahi Bhi Rahey Sar Par Tere Ilzaam To Hai
Tere Haatho Ki Lakiro Me Mera Naam To Hai
Mujhko Too Apna Bana Ya Na Bana Teri Khushi
Tu Zamane Me Mere Naam Se Badnam To Hai