Taarey To Bohat Hi Chamaktey The
Per Mai Sirf Ek Tarey Ko Takta Tha
Woh Jo Kabhi Jalta Aur Bhojta Tha
Jo Chanda Ko Dhurr Se Takta Tha
Timtimata Tha Woh Har Dam
Woh Bhi Meri Terah Tarapta Tha
Roshni Itni Na Hoti Thi
Magar Phir Bhi Chanda Ki Khatir
Madham Sa Roshan Rehta Tha
Sitaron Ki Mehfil Main Kuch
Tanha Aur Chup Chup Hota Tha
Meri Terah Woh Bhi To
Roswa Aur Thokraya Lagta Tha
Khamosh Sa Ghabraya Sa
Woh Sharmata Tha Sab Taron Se
Jab Sab Tarey Hastey Gatey They
Dhurr Khada Woh Muskata Tha
Darta Tha Hichkichata Tha
Bas Chanda Ko Takta Rehta Tha
Aur Aahain Bharta Rehta Tha
Mai Jab Tanha Akela Hota Tha
Raat Ko Jab Asman Ko Takta Tha
Tarey To Bohat Hi Hotey They
Per Main Sirf Oss Tarey Ko Takta Tha
Jo “Sonu” Jaisa Lagta Tha
Jo Deewana Pagal Lagta Tha