Shayad Badalon Mein Bada Gam Bhara Hai,
Isliye Woh Baarish Bankar Aansu Bahate Hain
Shayad Phoolon Ki Khoobsurati Ke Peeche Dard Chhupa Hai,
Isliye Apne Kaanton Se Chubte Rehte Hain
Shayad Samandar Mein Badi Tanhai Hai,
Isliye Lehren Bankar Tadapta Hai
Shayad Bahaar Mein Badi Ruswai Hai,
Isliye Patjhad Bankar Gayab Ho Jaati Hai
Sochta Tha Sirf Ek Mein Hi Is Duniya Mein Gam Mein Dooba Hua Hoon,
Kya Pata Tha Kudrat (Phool, Badal, Samadar) Bhi Gam Mein Doobe Hue Hain