Safar Karti Hoon Jo Yaadon Ke Sheher Mein,
Toh Aata Hai Nazar Ek Roshan Jahaan,
Jo Rukh Karti Hoon Mustaqbil Ke Chehre Par,
Bas Zaahir Hota Hai Ek Andhera Bayabaan.
Chahatein Hain Kuch Aisi Jinhe Dil Mein Dabaaye Baithi Hoon,
Laakh Koshishon Ke Bawajood Yeh Reh Jaati Hain Adhoori.
Ek Aag Lagi Hai Dil Mein Jo Jala Deti Hai Armaanon Ko,
Aye Kaash! Koi Dekh Paata Mere Armaanon Ki Raakh Ko.
Doob Rahi Hoon Ranj-O-Gham Ke Sailaab Mein,
Bachaane Wala Nakhuda Dikhta Nahi Kahiin,
Ubharne Nahin Deti Nakamyaabi Ki Lehrein,
Laakar Patak Deti Hain Phir Unhi Maayusi Ki Chattanon Se.
Maa Ki Di Gayi Seekhon Ko Dil Se Lagaaye,
Chali Jaa Rahi Hoon Ummeedon Ka Diya Jalaaye,
Na Koi Manzil Nazar Aati Hai, Na Kaarvaan,
Kitni Ajeeb Hai Yeh Zindagi, Kaisa Ajnabi Yeh Jahaan.
Phanskar Uljhanon Ke Bhanvar Mein Yeh Naatawan,
Likhti Hai Gulnaar Qatl-E-Aarzoo Ki Daastaan,
Jo Kam Pade Ashk-E-Jigar Ki Siyaahi,
Toh Aye Lahoo! Tu Khud He Likh De Meri Khwahishon Ki Tabaahi.