Muskurawo Jiyoo Ke Is Tarah
Kee Duniyaa Wah Wahi Karee
Ratoo Ki Dehliz Pee
Kahboo Ki Tabir Chamakti Rahee
Hai Nashaa Mehbub Ki Aakho Main Bhoot
Naa Jawoo Tum Pyaalo Ki Taraf
Nikaloo Jaraa Uzaloo Ki
Be Daam Si Jindagii Naa Reh Jaaye
Youn Naa Ho Kee Honsalaa Toota Reh Jaaye
Ek Kadaam To Bara,, Thori Himat To Bandhaa
Haar Raah Aasaan Hoti Nahii
Dekh Jara,,,,, Kaantoo Pe Bhi Chalnee Walo Ki Tarah
Ek Pegaam Chor Kee Jaata Hai Har Din
Ek Nishaa Chor Jaata Hai Har Kadam
Rah Batak Gaya To Phir Manzil
Kinaare Pee Doob Naa Jaye Sahil
Hai Us Paar Jab Terii Manjil
Tu Dekh Naa Doob Jaane Walo Ki Taraf
Ho Dard Kaa Bhi To Aapnaa Lehzaa
Ho Kushiyoo Kaa Ek Aapnaa Andaaz
Ugtee Suraj Ko Salam Bhii Kar
Peeth Bhi Naa Kar ‘Mithu’
Dhalnee Walo Ki Taraf