Mere Ghar Ki Deewaro Mein Chhupi Hai Kahani Meri
Aansoo Kahi Dard Aur Tanhaiyo Se Bhari Hai Zindgi Meri
Kya Kya Naa Gujra Saath Mere Ye Humse Kya Poochte Ho
Wo Raat Wo Chaand Bhi De Raha Hai Gawahi Meri
Roya Tha Main Saath Mere Mera Bistar Bhi Roya Tha
Aasmaan Se Barsa Tha Paani Hui Thi Jaghasai Meri
Kab Ka Dafna Chuka Us Dil Ko Jo Kabhi Dhadakta Tha
Lekin Ghar Ki Dar-O-Diwar Mein Nazar Aa Jati Aashanna-Ii Meri
Har Patthar Ka Butt Khuda Nahi Hota Ye Jante The Hum
Fir Bhi Humne Usko Khuda Mana Ishse Jhalakti Hai Nadani Meri
Mere Ghar Ki Deewaro Mein Chhupi Hai Kahani Meri
Aansoo Kahi Dard Aur Tanhaiyo Se Bhari Hai Zindgi Meri