Main Shayar Houn Labzo Se Khelta Houn
Jaane Anjaane Labz Haste Hai Meri Koshish Pe
Fir Bhi Meri Kismat Ki Naakam Daastan
Kalam Ke Sahare Sah Leta Houn
Main Shayar Houn Khoon Ke Aasoun Rota Houn
Jahar- E- Pyar Ab Asar Nahi Karta Muzh Par
Dhounye Ke Saath Gham Ke Ghoot Peeta Jaata Houn
Dard Mera Kaagaj Ke Panne Pe Baatataa Jaata Houn
Main Shayar Houn Har Baar Har Jaata Houn
Zheel Ke Gaheraion Ko Kinare Se Naapkar
Darakth Par Likhe Un Naamo Ko Padkhar
Mare Haal-E-Pyar Pe Roota Rahta Houn
Main Shayar Houn Sabko Hasata Houn
Akele Main Ro Bhi Nahi Pata Kisi Ko Rote Dekhakar
Kabhi Kabhi Diya Jalakar Khali Khali Ghar Saayon Se Bharta Rahta Houn
Main Shayar Houn Shayri Karta Houn
Kitab-E-Waqt Ke Panne Par Likhayi Gayi
Mere Badnaseeb Jindagi Ke Har Ke Lamhe Main
Unke Har Ek Dard Ko Seene Se Lagate Hasta Rahta Houn