Kyon Liye Betha Hay Ab Apne Dard-E-Dil Ko
Haari Zindagi Apni, Jalaaya Hay Khudh Ko
Bohat Magan Tha Sapnoo Ki Duniya Mein
Sad Afsoos Haqeeqat Mei Mila Kiya Tujh Ko
(Magan=gum Hoona, Sad Afsoos=bohat Zaida Afsoos)
Chal Uth Aur Dekh Iss Duniya K Ghum Ko
Daingay Kuch Dawa Yeh Tere Iss Dard Ko
K Nahi Hay Tu Tanha Dukhi Is Duniya Mein
Tarsay Hain Kitnay Yahan 2 Pal K Sukh Ko
Kitnay Hain Yahan Muntazir Kisi Saharay Ko
Jee Rahaye Hain Khoo K Apnay Piyaaroon Ko
Jala Umeed Ki Shama Un Kay Gharaanoo Mein
Bana Lay Humraahi Apna Ab Inhi Loogoon Ko
(Muntazir=intezaar Mein)
Ban K Roshni Dour Kar Un K Andheeroon Ko
Barh K Laga Galay Apnay Ab Unki Gareebi Ko
Dhoondh Sukh-O-Chain Un Makeenoo Mein
Kar Aabad Unki Duaon Se Apne Kashanay Ko
(Makeenoo=ghar/ghar Walay,Kashaanay=ghar/gharana)
Ishq Mefhil-E-Aish-O-Aram Ne Diya Kia Tujh Ko
Sanbhal Jaa Aur Samjh Le Iss Bereham Waqt Ko
Nahi Koi Haasil Iss Faani Duniya K Melay Mein
Kar Kuch Bhalay Kaam Sudhaar Apni Aaqbat Ko
(Aaqbat=akhirat)
Gali Gali Kahaye “Aman” Ab Yehi Har Aadam Ko
Doosroon K Liye Waqf Karo Apni Iss Zindagi Ko
Baantoo Ghum Sabhi K Sukh Rakha Hay Issi Mein
Yeh Mat Sooch K Mila Kiya Badlay Mein Tujh Ko
(Aadam=insan,Waqf=naam Karna)