Kuch Jawab Ab Humse Sawal Karte Hai,
Zindagi Ki Veeraniyon Ne Hamein Patthar Kar Diya,
Kahan Kho Gaye Ho Tum In Anjaani Si Raahon Mein
Tumhare Qadmon Ke Nishaan To Ab Tak Hai In Raston Pe,
Saamne Hai Manzil Par Na Jaane Tum Kahan Kho Gaye,
Dhadkanein Tumhari Hamara Hi Naam Liya Karti Thi,
Kya In Mein Tumhari Dhadkanein Ab Shamil Nahi?
Aaj Meri Ye Dhadkanein Madhdham Hai Kyon,
Base The Hum Tumhari Har Saans Mein
Kya Tumhari Saanson Mein Ab Hum Mehekte Nahi?
Kyon Aaj Ye Laqeerein Alag Si Lagti Hai,
Kya In Mein Ab Tumhare Naam Ki Taqdeer Nahi?
Ujdi Hui Si Kyon Hamein Har Kali Lagti Hai,
Is Bahar Mein Kya Ab Hamara Ehsaas Nahi?
Kabhi Saath Milke Ghanton Dekhte The Samundar Ki Lehron Ko,
Aaj Tapti Hui Ret Pe Chalte Hue Sochte Hai Hum,
Kyon Aaj Tumhari Chahat Ki Chhanv Hamare Saath Nahi?
Zamane Ki Thokarein Se Jo Sambhalti Thi Hamein,
Aaj Wo Baahein Kyon Hamein Thaamti Nahi?

Aa Jao Sanam Ke Ab Bhi Tere Intezaar Mein Hai,
Ye Samundar, Ye Kaliyan, Ye Saansein, Ye Dhadkan,
Ye Rooh Adhoori Hai Tum Bin,
Aa Ke Kar Do Hamari Zindagi Ko Mukammal Sanam,
Aa Jao Na!!!