Ke Zindgi Teri Zulfoo Ki Narm Chaoon Main
Guzarne Paati To Shadaab Ho Bi Sakti Thi……….
Yeh Tiirgi Jo Meri Ziist Ka Muqaddar Hai
Teri Nazar Ki Shuaaoon Main Kho Bi Sakti Thi……
Kabhie Kabhie Mere Dil Main Khial Aata Hai……
Ajab Na Tah Ke Main Begana-E-Alam Ho Kar
Tere Jamaal Ki Ranaagiyon Main Kho Rahta……..
Tera Gudaz Badan…….Teri Niim-Baar Aankhein……
Inhii Hasin Fasanoo Main Mahoo Rahta…………..
Kabhie Kabhie Mere Dil Main Khiaal Aata Hai………
Pukarti Mujeh Jab Talkhiaan Zamane Ki
Tere Laboo Se Halaawat Ke Ghoont Pii Leta………
Hayaat Chikhtii Phirti Barhanaa-Sar……Aur Main
Ghaneri Zulfoo Ke Sae Main Chup Ke Jii Leta………..
Kabhie Kabhi Mere Dil Main Khial Aata Hai…….
Magar Yeh Ho Na Saka Aur Ab Yeh Alam Hai
Ke Tuu Nahi……..Tere Gham Nahi……..Teri Justjuu Bi Nahi……………….
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zingdi Jaise
Isay Kisi Ke Sahare Ki Arzoo Bi Nahi……….
Kabhie Kabhie Mere Dil Main Khial Aata Hai…….
Zamane Bhar Ke Dukhoo Ko Laga Chuka Hon Galay
Guzar Raha Hon Kuch Anjani Guzar-Rahoo Se……….
Muhiib Saye Meri Simt Barhte Aate Hain
Hayaat-O-Maut Ke Pur-Haul Khaarzoo Se……….
Kabhie Kabhie Mere Dil Main Khial Aata Hai……….
Na Koi Jadaa Na Manzil Na Roshni Ka Surag
Bhatak Rahi Hai Khalaaon Main Zindgi Meri……..
Inhii Khalaaon Main Rah Jaonga Kabi Kho Kar
Main Janta Hon Meri Ham-Nafas…….Magar Yunhii…………………..
………..Kabhie Kabhi Mere Dil Main Khial Aata Hai…………….”