Jis Tarah Chaand Pe Hai Andhero Ka Pehra
Kuch Yu Hi Tanhaaiyo Ne Mujhe Aake Ghera Hai
Band Aankho Se To Nazar Aata Hi Tha Andhera
Ab Aankh Khol Kar Dekhu To Bhi Dur Tak Andhera Hai

Ek To Hai Mujhe Zindagi Ke In Andhero Ka Gam
Us Pe Ye Gam Ki Tu Saath Bhi Nahi
Kaise Na Khaaye Thokar Har Kadam Pe Ye Kadam
Ki Ab To Mere Haathon Me Tera Haath Bhi Nahi
Kaash Kisi Pal Main Tera Naam Leta
Aur Palak Jhapakte Hi Tu Saamne Khadi Hoti
Main Chup Hi Rehta Bas Tera Haath Thaam Leta
Tu Fir Bhi Mere Dard Ko Sun Rahi Hoti
Jaane Kab Talak Main Yu Jhoothe Khayaalo Me Khota Rahunga
Jaane Kab Talak Dil Bas Tu Hi Tanhaaiyaan Sahega
Jaane Kab Talak Dil Hi Dil Me Chupchaap Rota Rahunga
Jaane Kab Jaake Meri Aakh Se Ek Aasu Bahega
Socha Tha Zara Khul Ke Kisi Lamha Ro Leta
Magar Sukha Diye Aasu Saare Dard Ki Gehraaiyo Ne
Kabhi Saath Tere Rota Tha Aaj Tanha Ro Leta
Magar Tanha Hi Na Chhoda Kabhi Mujhko Tanhaaiyo Ne
Magar Tanha Hi Na Chhoda Kabhi Mujhko Tanhaaiyo Ne….