Haseen Lamhon Ka Soonapan,
Uljha Uljha Sa Ye Man
Kabhi Bhool Nahin Paunga Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Paani Ka Vo Mujh Tak Aana
Har Saans Ko Geela Kar Jaana
Kahi Pe Chhod Aya Hu Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Yaadon Ka Safar Peeche Reh Gaya
Aur Rasta Kaano Me Sher Keh Gaya
Kal Saath Le Aya Hoon Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Arz Karoon Main Kaun Sa Khayal
Bheege Dil Se Kiya Sawaal
Kyun Dhadakta Hai Uske Liye Jisne Ye Haal Kiya
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Ghalib, Mehfil Aur Jaam
Hanste Gaate Chehre Tamaam
Ek Pal Mein Jee Aaya Hoon Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Tezaab Ki Boondein Baarish Mein Kal
Jalaye Aankhon Mein Vo Haseen Pal
Rok Nahi Paya Kal Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya
Raat Bhar Sulagta Raha, Aye Dost
Jane Phir Kab Aisi Barsaat Ho, Aye Dost
Yaad Rakhoonga Barson Tak Main
Vo Baarish, Do Boond Paani Aur Ek Aag Ka Dariya