Charo Tharaf Hai Thanhayi,
Na Koi Shor Hai Na Koi Shehnayi
Kya Bathaoo Aaj Dill Ka Khaal
Ke Har Pal Guzar Raha Hai Jaise Aik Saal.
Dill Mein Aaj Hai Aik Aag,
Bhujane Ke Liye Hi Peethi Hu Sharaab,
Khwaab Bhi Aaj Hai Toote Hooye,
Aur Mere Saaye Bhi Hai Mujhse Roote Hooye.
Na Nazar Ayi Mujhe Manzil
Usthak Ponchna Tha Bohath Hi Mushkill,
Na Mila Mujhe Hamsafar,
Karsakthi Thi Mai Bharosa Jispar.
Bewafa Nikla Yaar Mera
Aakhir Mein Usne Saath Chor Diya
Ab Maut Banna Chahathi Hai Meri Hamsafar
Joh Layi Hai Aaj Mujhe Meri Kabar Par.