Aaj Main Tanha Behti Yaadon Ke Nakhenon Se
Maazi Ki Raakh Kured Rahi Hoon
Us Aakhri Shaam Ki Yaad Ab Tak
Dilke Kisi Kone Mein Padi Ro Rahi Hai
Jab Mere Sath Saans Lete Hue Aansu
Chilla Chilla Kar Keh Rahe The
Hamein Chhod Kar Mat Jao
Magar
Mere Lab Khamosh The Aur Tum
Mere Aansu Ki Aawaz Sun Nahi Paaye The
Shaam Dhire Dhire
Dhalti Jaa Rahi Thi
Parinde Apne Baseron Ko Laut Rahe The
Aur Tum
Mere Dilka Basera Chhod Kar Jaa Rahe The
Kahin Door
Shayad Bahut Door
Darakht Khamosh Khade The Aur Main
Darakht Ke Kandhe Par Sar Rakh Kar Ro Rahi Thi
Tumne Aakhri Baar
Meri Jaanib Mud Kar Dekha Aur
Tumhari Nigahon Mein Na Jaane Kya Tha Keh
Meri Palkon Pe Thehra Aakhri Aansu
Ek Nokeeli Salakh Ki Maanind
Dil Mein Utar Gaya Tha
Aah…. Wo Shaam
Kitni Andheri Thi
Amavas Ki Raat Se Bhi Zyada Andheri
Magar Na Jaane Kyon
Itna Waqt Beet Jaane Ke Baad
Aaj Maine
Shaam Ki Gulaabi Hatheli Pe Likha
“Meri Bichhdi Koi Shaam
Ek Baar Laut Kar Aao
Main Tumhari Muntazir Hoon