jala k tu bhi agar asra na da to

yah khoof hay k hawa phir bujha na day mujh ko

main is khayaal say mur murr k dekhta hoon usay

bichar k woh bhi kahin phr sada na day mujh ko

is si khayal say main shab bhar so nahi sakta

k khof-e-khuwab-e-guzishta jaga na day mujh ko

teray baghair bhi teri tarha main zinda rahoon

yah hosla bhi dua kar khuda na day mujh ko

main is liya bhi usay khud manaon ga mohsin

k mujh say rothnay wala bhula na day mujh ko