chand k sath kai dard purane nikle

kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle

fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa

apne hi khun k dariya main nahane nikle

hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai

dil ki befaiz zaminon se khazane nikle

umr guzri hai shab-e-tar main ankhain malte

kis ufaq se mera khurshid na jane nikle

ku-e-qatil main chale jaise shahidon ka julus

Khvab yuu bhigti ankhon ko sajane nikle

dil ne ik int se tamir kiya taj mahal

tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle

dasht-e tanhai-e-hijranN main khara sochta hun

haye kya log mera sath nibhane nikle

main ne ‘Amjad’ use bevasta dekha hi nahi

vo to Khushbu main bhi ahat ke bahane nikle