Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se

Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se

Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaan,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaraan

Main ghum gusaaron mein sochta hon,keh baat cheroon kahan kahan se

Ye sung raizay adawton ke,woh aabgenay sakhawtoon ke…!!

Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se

Bichharnay walay bichher chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata

Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se

Meri mohabbat ke wehmon se paray tha tera wujod warna..!!

Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan wahan se

Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai

Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se

Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN

Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se