us shaam voh ruKhsat kaa samaaN yaad rahegaa

voh shahar, voh kuucha, voh makaaN yaad rahegaa

voh Tiis ki ubhrii thii idhar yaad rahegii

voh dard kii uThaa thaa yahaaN yaad rahegaa

ham shauq ke shole kii lapak bhuul bhii jaayenge

voh shama-e-fasurda ka dhuaaN yaad rahegaa

aaNkhoN meN sulagtii huii vahshat ke jilau meN

voh hairat-o-hasrat ka jahaaN yaad rahegaa

jaaN-baKhsh sii us barg-e-gul-e-tar kii taraavaT

voh lams aziiz-e-do-jahaaN yaad rahegaa

ham bhuul sake haiN na tujhe bhuul sakeNge

tuu yaad rahegaa hameN, haaN yaad rahegaa