terii hii tarah hamein yaad aane vaalaa ho

tere sivaa bhii ko_ii to sataane vaalaa ho

har ek subah yahii dil mein huuk uThatii hai

hamen bhii naaz se ko_ii jagane vaalaa ho

vo kis ummiid mein ghar mein rahein ki jis ghar mein

na aane vaalaa ho ko_ii na jaane vaalaa ho

har ek se nazaren milaa_ii hain un ke kuuche mein

ki jaise ab ko_ii ham ko bulaane vaalaa ho

hai dosto ke liye aa_iinaa nazar merii

nazar milaaye jo nazarein milaane vaalaa ho

hamaare shahar mein kyaa kyaa saje-sajaaye hain ghar

hamaare ghar ko bhii koii sajaane vaala ho