Suno ! aay chand c larki,

Abhi tum titliyaan pakro

Ya phir Guriyon sy kheelo tum

Ya phir masoom c Aankhon sy dheron khwab daikho tum

Fraz-o-Faiz-o-Mohsin ki kitaben mt abhi parhna

Ye sb lafzon k sahir hein

Tumhein uljha k rakh dein gy

Tumhein Maloom hi kab hai

Mohabat k libady mein Hawas aur Hirs hoti hai

Ye insanon ki dunya hai

Magr in sy kaheen barh kr yahan wehshi drindy hein

Wo wehshi jin ki Aankhon me machalty peyar k peechy Hawas aur Hirs hoti hai

Abhi kachi kali ho tum

Abhi kaanton sy mat khelo

Abhi apni Hatheli par kisi ka Naam mt likho

Abhi apni kitabon mein gulaabi phool mat rakho

Abhi shairon mein mat uljho

Abhi to umar baaqi hai

Abhi khud ko sanbhalo tum

Abhi mt gun’ganao tum

Abhi sy ishaq mt socho

Abhi sub bhool jao tum. .*