Shamim Jaipuri

aaj mere shab-e-furqat kii sahar aaii hai

muddaton baad terii raahaguzar aaii hai

dekh to liijiye mere Khuun-e-tamannaa ki bahaar

jis kii surKhii merii aaNkhon men utar aaii hai

tuune to tark-e-muhabbat kii qasam khaaii thii

kyon terii aaNkh mujhe dekh ke bhar aaii hai

un ke pairaahan-e-rangiin kii mahak hai is men

aaj kyaa baad-e-sabaa hoek udhar aaii hai

is men kuchh un kii jafaayeN bhii to shaamil hain

‘Shamim’

bevafaaii kii jo tohamat mere sar aaii hai