Shab-e-tanhai

Wo jo baray sukh main hay

Usay kehna

Ke raat ka pichla pehr hay

Aur abhi hum jagtay hain

Hamari ankhon say neend kosoon door hay

Hamaray lab abhi tak is ke naghmay gungunatay hain

Hamara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tau

Kabhi hum hans detay hain

Kabhi jee bhar ke rotay hain

Shab-e-tanhai ki yakh basta hawao.. !

Usay kehna hum ab bhi ba wazo ho ker tumhara naam laitay hain

Usay kehna, ya apna naqsh dho jay

Ya phir say apna ho jay .. !