sarapa iltija huN, aur chup huN

maiN kya kya dekhta huN, aur chup huN

wafa k daeiry meiN huN muqayyad,

sabhi kuch janta huN, aur chup huN

bhula beTha huN tery her sitam ko,

ghamoN ka silsila huN, aur chup huN

udoo ho, jaan-e-jaN ho ya koi aur,

her ik se aashna huN, aur chup huN

hazaroN aandhiaN, lakhoN haiN toofaN,

maiN gir gir k uTha huN, aur chup huN

bata kr raasta chalty bany ho,

saraboN meiN khaRa huN, aur chup huN

hawa jab gudguda’ay chandni ko

kisi ko sochta huN, aur chup huN