Rais Akhtar

ham ko dushman kii nigaahon se na dekhaa kiije

pyaar hii pyaar hain ham ham pe bharosaa kiije

chand yaadon ke sivaa haath na kuchh aayegaa

is tarah umr-e-gurezaaN kaa na piichhaa kiije

roshnii auron ke aaNgan men gavaaraa na sahii

kam se kam apane hii ghar men to ujaalaa kiije

kyaa Khabar kab vo chale aayenge milane ke liye

roz palakon pe naii shamaen jalaayaa kiije