Rah bhatkay ga ye imkaan nazar aata tha

Qaafla be-sir-o-samaan nazar aata tha

Choo k dekha to wohi moom ka puttla nikla

Dekhnay men to wo chattaan nazar aata tha

Paas aaey to ajab ronaq-e-mehfil dekhi

Door se maqbra veraan nazar aata tha

Mujh men rehta tha koi jis k muqaabil aa kr

Aaena khana b heraan nazar aata tha

Marhla waar anna mujh ko wahan le aai

Toot jana jahan aasaan nazar aata tha.