Prem W@rb@rtoni

javanii ke hiile hayaa ke bahaane

ye maanaa ke tum mujh se pardaa karogii

ye duniyaa magar tujh sii bholii nahiin hai

chhupaa ke muhabbat ko rusvaa karogii

baDii koshishon se baDii Khvaahishon se

tamannaa ke sahamii huii saazishon se

milegaa jo maukaa to bechain hokar

dariichon se tum mujhako dekhaa karogii

sataayegii jab chaaNdanii kii udaasii

dukhaayegii dil jab fizaa kii Khaamoshii

ufaq kii taraf Khaalii nazaren jamaakar

kabhii jo na sochaa vo sochaa karogii

kabhii dil kii dhaDakan mahasuus hogii

kabhii ThanDii saaNson kii tuufaaN uThegii

kabhii gir ke bistar pe aahen bharogii

kabhii jhuk ke takiye pe royaa karogii